www.urdu110.com
www.urdu110.com
www.urdu110.com
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
www.urdu110.com

Here IsTechnology,Urdu Adab, Poetry, and much more...
 
HomeHome  PortalPortal  GalleryGallery  Latest imagesLatest images  RegisterRegister  Log inLog in  
Latest topics
» Payam Poetry On facebook
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime1/3/2014, 09:20 by Ahmed_Jan

» Hdd Regenerator 2013 Full Gratis
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime1/3/2014, 09:15 by Ahmed_Jan

» Salam To All Member
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime6/9/2013, 12:53 by jan_zhob

» TeamViewer Conntrol AnAutor Pc By JAn
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime14/6/2013, 14:58 by Ahmed_Jan

» Salgiar Mubarak
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime12/8/2012, 08:00 by Ahmed_Jan

» DUE -E- MAGFARAT
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime25/6/2012, 10:47 by zeemano

» New Desin Shairy
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime28/5/2012, 16:15 by shahzad ahmad

» Khod Muj Se Ye Khata Hogia
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime27/5/2012, 12:21 by muhammad arshad

» Ahmed Faraz 1st Book Tanha Tanha.
Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime15/5/2012, 17:06 by rahmatjan

Who is online?
In total there are 2 users online :: 0 Registered, 0 Hidden and 2 Guests

None

Most users ever online was 26 on 26/1/2024, 15:45
Top posters
Ahmed_Jan
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
jan_zhob
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
Wahid45
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
hakeem_zhob
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
fayzi
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
haleem_gul
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
matinkhan
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
rahmatjan
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
zainlawoon
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
monthazir m monthazirm
Faraz Sab Ghazlain Vote_lcapFaraz Sab Ghazlain Voting_barFaraz Sab Ghazlain Vote_rcap 
Keywords
Search
 
 

Display results as :
 
Rechercher Advanced Search
Social bookmarking
Social bookmarking reddit      

Bookmark and share the address of www.urdu110.com on your social bookmarking website

 

 Faraz Sab Ghazlain

Go down 
AuthorMessage
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Faraz Sab Ghazlain   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 06:43

barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil rubaa saa
ab zahan mein nahin hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khinche khinche se aankhein jhukii jhukii si
baatein rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar mein
ban jaaye jangaloon mein jis tarah raastaa saa

Khvaaboon mein Khvaab us ke yaadoin mein yaad us kii
niindoon mein ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii mein
vo har tarah se lekin auroon se thaa judaa saa

agalii muhabbatoon ne vo naa muraadiyaan dien
taazaa rafaaqatoon se dil thaa Daraa Daraa saa


kuchh ye ke muddatoon se ham bhii nahin thay roye
kuchh zahar mein bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir youn huaa ke saavan aankhoon mein aa base the
phir youn huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahain to yaaro ham ko Khabar nahin thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa saa

tevar the berukhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zoam ham ko jab vo nahin thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo Faraz kaa saa
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Gazal sun ker pareyshan ho gaey kya   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 06:50

[color=brown]Gazal sun ker pareyshan ho gaey kya
kisi k dihan main tum kho gaey kya

ya bay-ganaravi pahlay nahi thee
kaho tum bhi kisi k ho gaey kya

abhi kuch dair pahlay tak yahi thay
zamana ho gaya tum ko gaey kya

kisi taza rafaqat ki lalak hai
puranay zakham achay ho gaey kya

palat ker charahger kun aa gaey hain
shab-e-furqat k maray soo gaey kya

Faraz itna na itra hoslay per
isay bhoolay zamanay ho gaey kya [/color]
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Chaloo kh kucha-e-Dildar chal k daykhtay hain   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 06:53

Chaloo kh kucha-e-Dildar chal k daykhtay hain
kisay kisay hai ya aazaar chal k daykhtay hain

Suna hai aysa masiha kahi say aaya hai
kh us ko shayher k beemar chal k daykhtay hain

hum apnay bot ko , Zulay-kha leya hai Yosaf ko
hai kon ronaq-e-bazar chal k daykhtay hain

suna hai dair-o-harem mian wo nahi milta
so ab k us ko sir-e-dar chal k daykhtay hain

us aik shaks ko daykho to ankheen bherti nahi
us aik shaks ko her bar chal k daykhtay hain

wo maray gher ka kerey qasd jab tu saaey say
kaee qadam dar-o-deewar chal k daykhtay hain

faraz aseer hai is ka kh wo faraz ka hai
hai kon? kiss ka griftar? chal k daykhtay hain
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaa_iyaa.N bhii ho.n   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:00

dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaa_iyaa.N bhii ho.n
mar jaa_iye jo aise me.n tanhaa_iyaa.N bhii ho.n

aa.Nkho.n kii surKh lahar hai mauj-e-suparadagii
ye kyaa zaruur hai ke ab anga.Daa_iyaa.N bhii ho.n

har husn-e-saadaa lau na dil me.n utar sakaa
kuchh to mizaaj-e-yaar me.n geharaa_iyaa.N bhii ho.n

duniyaa ke tazakire to tabiyat hii le bujhe
baat us kii ho to phir suKhan aaraa_iyaa.N bhii ho.n

pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai 'Faraz'
dil Khud ye chaahataa hai ke rusvaa_iyaa.N bhii ho.n
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do    Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:02

sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do
mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaaye.n mujhe na do

jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii duaaye.n mujhe na do

aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N
har baar duur jaa ke sadaaye.n mujhe na do

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaaye.n mujhe na do
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do    Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:02

sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do
mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaaye.n mujhe na do

jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii duaaye.n mujhe na do

aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N
har baar duur jaa ke sadaaye.n mujhe na do

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaaye.n mujhe na do
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: kyaa ruKhsat-e-yaar kii gha.Dii thii   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:04

kyaa ruKhsat-e-yaar kii gha.Dii thii
ha.Nsatii hu_ii raat ro pa.Dii thii

ham Khud hii hue tabaah varnaa
duniyaa ko hamaarii kyaa pa.Dii thii

ye zaKhm hai.n un dino.n kii yaade.n
jab aap se dostii ba.Dii thii

jaate to kidhar ko tere vahashii
zanjiir-e-junuu.N ka.Dii pa.Dii thii

Gam the ki 'Faraz' aa.Ndhiyaa.N thii
dil thaa ki 'Faraz' pankhud.ii thii
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:05

sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye
kis shahar me.n ham ahal-e-muhabbat nikal aaye

ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.Nsuu kii jagah aa.Nkh se hasarat nikal aaye

har ghar kaa diyaa gul na karo tum ke na jaane
kis baam se Khurashiid-e-qayaamat nikal aaye

jo dar_paa-e-pindaar hai.n un qatl_gaho.n se
jaa.N deke bhii samajho ke salaamat nikal aaye

ai ham_nafaso.n kuchh to kaho ahad-e-sitam kii
ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye

yaaro mujhe masaluub karo tum ke mere baad
shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aaye
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:09

Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !
Aai jaan-e-jahaa(n) ! ye koi tum sa hai k tum ho !

Ye khwaab hai, khushbu hai k jhaunka hai k pal hai
Ye dhund hai, baadal hai k saaya hai k tum ho !

Is deed ki saa'at mein kaee rang hain larzaa(n)
Main hoon k koi aur hai, duniya hai k tum ho !

Dekho ye kisi aur ki aankhein hain k meri !
Dekhoon ye kisi aur ka chehra hai k tum ho !

Ye umr-e-gurezaa(n) kahin tthehre to ye jaanoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai k tum ho !

Har bazm mein mauzu-e-sukhan, dil-zadgaa(n) ka
Ab kaun hai, Sheereen hai k Laila hai k tum ho !

Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !

Wo waqt na aaye k dil-e-zaar bhi soche
Is shehr mein tanha koi ham sa hai k tum ho !

Aabaad ham aashufta-saron se nahi maqtal
Ye rasm bhi is shehr mein zinda hai k tum ho

Aai jaan-e-Faraaz ! itni bhi taufeeq kise thi
Ham ko gham-e-hasti bhi gavaara hai k tum ho
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Re: Faraz Sab Ghazlain   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:10

Tujhse bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
Phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye

Phir yuN hu’aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
Andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye

Kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
Ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye

Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye

Samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
Phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye

Ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
Ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye

Rote ho ek jaziira-e-jaaN ko “Faraz” tum
Dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Ankh se door na ho dil se uter jaye ga   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:13

Ankh se door na ho dil se uter jaye ga

waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga



itna manoos na ho khulot-e-gham se apni

tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga



tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay

aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga



zindagi teray ata hai tu ye jaanay wala

teray bakshish teri dehleez pe dhar jaye ga



dobtay dobtay kashti ko uchaala day don

mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga



zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz

zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: juz teray koi bhi din raat na janay meray   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:14

juz teray koi bhi din raat na janay meray
tu kahaN hai magar ah dost puranay meray

shama ki lau thi kay wo tu tha sab'e hijr
dair tak rota raha koi sirhanay meray

khalq ki bekhabree hai ke meri ruswa'ee
looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray

aaj ik aur buras beeth gya us kay baghair
jis kay hotay huye hotay thay zamanay meray

kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki saada ne meray

kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane mera
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Ho teri Yaad Ka Dil Mein Guzar Aahista Aahista   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:16

Ho teri Yaad Ka Dil Mein Guzar Aahista Aahista
Kare ye Chand Sehra mein Safar Aahista Aahista

Bohat Tezi se Duniya Cheen le gi Jab Tujhe mujh se
To Phir Iss Dil mein Aise Mat Uttar Aahista Aahista

K Hum Dosto ko Rakhein Dhoke mein Khush kalami se
Hume Aa hi Gaya Ye Hunar bhi Aahista Aahista

Kahein se Ek Verani ka Sayaa Phailta aaya
Hue Bey Rang Sab Diwar-o-Dar Aahista Ahista

Na toote or kuch din Tujh se Rishta is tarha mera
Mujhe Barbad kar dey tu,Magar Aahista Aahista

Ye khamoshi yaha ka Husan hai Rakhna Khiyal is ka
Kamaal Iss dasht e wiraa'n se Guzar Aahista Aahista
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:18

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Ashiqi bedili se mushkil hai   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:19

Ashiqi bedili se mushkil hai
Phir muhabbat usi se mushkil hai

Ishq aghaaz hi se mushkil hai
Sabr kerna abhi se mushkil hai

Jis ko sab bewafa samjhte hon
Bewafaai usi se mushkil hai

Aik ko doosre se sehel na jaan
Har koi har kisi se mushkil hai

Too bazid hai to ja Faraz magar
Wapsi us gali se mushkil hai
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Ab ke rut badli to khushboo ka safar dekhay gaa kaun   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:21

Ab ke rut badli to khushboo ka safar dekhay gaa kaun
Zakum poolon ki tarah mahkay gay per deykhay ga kaun

Dekhna sub ruks-e bismil may magan ho jaaye gay
Jis taruf se teer aaye gaa udhar deykhay ga kaun

Zakhm jitnay bhi thay sub mansoob qaatil se huway
Tere haathon ke nishaan ai chaara ger dekhay ga kaun

Woh hawas ho ya wafa ho baat mehroomi ki hai
Log to phul phool dekhay gay shajer deykhay ga kaun

Meri awaazo-n ke saaye mare baam-o-der pay thay
Mare lafzo-n may utar ker mera ghar deykhay ga kaun

Hum chiraag-e shub hi jab thehray to phir kiya sochna
Raat thi kis ka muqadder aur saher deykhay ga kaun

Aa faseel-e Shaher se deykhay ghneem-e shaher ko
Shaher jaltaa ho to tujh ko baam per deykhay ga kaun

Her koi apni hawa main mast phirtaa hai "FARAZ"
Shaher naa-pursaan may teri chashm-e ter deykhay ga kaun.
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:22

Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum
Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum

Sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
Sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum

Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
Itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum

Tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
Aa tere raaste mein sitare lota'ein hum

Woh log ab kahan hein jo kehte they kal 'faraz'
Heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:24

kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se

jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se


ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii

zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se


ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho

kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se


nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho

jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se


'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa

yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Zindagi se yehi gila hai mujhe   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:32

Zindagi se yehi gila hai mujhe
Tu bohat dair se mila hai mujhe

Tu mohabbat se koi chaal to chal
Haar jaane ka hosla hai mujhe

Dil dhaRakta nahi tapakta hai
Kal jo khwahish thi aabla hai mujhe

Hamsafar chaahiye hujoom nahi
Ik musaafir bhi qaafila hai mujhe

Kohkan ho k Qais ho k Faraz
Sab mein ik shakhs hi mla hai mujhe
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Avval avval ki dosti hai abhi   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:33

Avval avval ki dosti hai abhi

Ik ghazal hai k ho rahi hai abhi


Main bhi shehr-e-wafa mein nau-vaarid

Wo bhi ruk ruk k chal rahi hai abhi


Main bhi aisa kahaN ka zood-shinaas

Wo bhi , lagta hai , sochti hai abhi


Dil ki waaraftagi hai apni jagaa

Phir bhi kuch ehteyaat si hai abhi


Gar-cheh pehla sa ijtanaab nahiN

Phir bhi kam kam sapurdagi hai abhi


Khud-kalaami mein kab ye naSHa tha

Jis tarha ru-ba-ru koi hai abhi


Qurbatein laakh khoobsoorat hoN

DooriyoN mein bhi dil-kashi hai abhi


Raat kis maah-wash ki chaahat mein

ShabnamistaaN saja rahi hai abhi


Main bhi kis vaadi-e-khayaal mein tha

Barf si dil pe gir rahi hai abhi


Zindagi ku-e-na-muraadi se

Kisko muR muR k dekhti hai abhi


Iss qadar kHich gaee hai jaaN ki kamaaN

Aisa lagta hai TooTti hai abhi


Aisa lagta hai khalvat-e-jaaN mein

Wo jo ik shakhs tha wohi hai abhi


Muddatein ho gaeeN FARAZ magar

Wo jo deewaangi k thi,hai abhi
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:34

Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya

Jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya


Kaise na-maanoos lafzoN ki kahaani tha wo shakhs

Uss ko kitni mushkiloN se tarjuma main ne kiya


Wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast

Phir to paimaan-e-wafa sau martaba main ne kiya


Hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere

Jo bhi uss jaan-e-jahaaN ne likh diya,main ne kiya


Wo THeherta kya k guzra tak nahiN jis k liye

Ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya


Mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin FARAZ

Loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya



Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Gaisu-e-shaam mein aik sitaara aik kahyaal   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:36

Gaisu-e-shaam mein aik sitaara aik kahyaal

Dil mein liye phirte hain tumhara aik kahyaal


Baam-e-falak par sooraj,chaand,sitaare tha

Ham ne beyaaz-e-dil pe utaara aik khayaal


Kabhi to un ko bhi dekho,jin logoN ne

Umr gaNwaai aur saNwaara aik kahayaal


Yaad k sheher k shor se kaale kosoN door

Dasht-e-faraamoshi se pukaara aik khayaal


Yun bhi hua hai dil k muqaabil dunia thi

Phir bhi na haara phir bhi na haara aik khayaal


Mujh par zarab paRi to khalqat ne dekha

Meri bajaaye paara paara aik khayaal


Aik musaafat,aik udaasi,aik FARAZ

Aik tamnna,aik sharaara,aik khayaal
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:37

karuu.N na yaad agar kis tarah bhulaa_uu.N use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use

vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKhm-zaKhm huu.N phir bhii gale lagaa_uu.N use

ye log tazakare karate hai.n apane logo.n se
mai.n kaise baat karuu.N aur kahaa.N se laa_uu.N use

magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uu.N use

vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii baat pe ai naasiho ga.Nvaa_uu.N use

jo ham_safar sar-e-manzil bichha.D rahaa hai 'Faraz'
ajab nahii.n ki agar yaad bhii na aa_uu.N use
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
hakeem_zhob
Senior Poster
Senior Poster
hakeem_zhob


Posts : 120
Reputation : 13
Join date : 2011-10-25
Age : 31
Location : Pakistan

Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:38

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai


kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai

wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
Sponsored content





Faraz Sab Ghazlain Empty
PostSubject: Re: Faraz Sab Ghazlain   Faraz Sab Ghazlain Icon_minitime

Back to top Go down
 
Faraz Sab Ghazlain
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Faraz Sab Ki Ghazlain On Faacbook
» Ahmed Faraz Nice Ghazlain
» The Great Ghazal of Faraz
» Best Of Ahmed Faraz
» Faraz Interviw

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
www.urdu110.com :: Poetry :: All Urdu Poets :: Ahmed Faraz-
Jump to: