www.urdu110.com
www.urdu110.com
www.urdu110.com
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
www.urdu110.com

Here IsTechnology,Urdu Adab, Poetry, and much more...
 
HomeHome  PortalPortal  GalleryGallery  Latest imagesLatest images  RegisterRegister  Log inLog in  
Latest topics
» Payam Poetry On facebook
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime1/3/2014, 09:20 by Ahmed_Jan

» Hdd Regenerator 2013 Full Gratis
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime1/3/2014, 09:15 by Ahmed_Jan

» Salam To All Member
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime6/9/2013, 12:53 by jan_zhob

» TeamViewer Conntrol AnAutor Pc By JAn
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime14/6/2013, 14:58 by Ahmed_Jan

» Salgiar Mubarak
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime12/8/2012, 08:00 by Ahmed_Jan

» DUE -E- MAGFARAT
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime25/6/2012, 10:47 by zeemano

» New Desin Shairy
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime28/5/2012, 16:15 by shahzad ahmad

» Khod Muj Se Ye Khata Hogia
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime27/5/2012, 12:21 by muhammad arshad

» Ahmed Faraz 1st Book Tanha Tanha.
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime15/5/2012, 17:06 by rahmatjan

Who is online?
In total there are 3 users online :: 0 Registered, 0 Hidden and 3 Guests

None

Most users ever online was 83 on 20/10/2024, 17:36
Top posters
Ahmed_Jan
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
jan_zhob
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
Wahid45
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
hakeem_zhob
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
fayzi
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
haleem_gul
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
matinkhan
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
rahmatjan
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
zainlawoon
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
monthazir m monthazirm
Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_lcapAhmed Faraz Nice  Ghazlain Voting_barAhmed Faraz Nice  Ghazlain Vote_rcap 
Keywords
Search
 
 

Display results as :
 
Rechercher Advanced Search
Social bookmarking
Social bookmarking reddit      

Bookmark and share the address of www.urdu110.com on your social bookmarking website

 

 Ahmed Faraz Nice Ghazlain

Go down 
Go to page : 1, 2, 3  Next
AuthorMessage
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Ahmed Faraz Nice Ghazlain   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:41

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana

yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana

dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana

avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana

akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana

muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jana

ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana

ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana

har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jana

jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana

ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jana

ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana

hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jana
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Main mar mita to wo samjha ye inteha the meri   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:44

Main mar mita to wo samjha ye inteha the meri

usay khabar hi na the,khaak kimiya the meri


main chup howa to wo samjha k baat khatam howi

phir us k baad to awaz ja baja the meri


jo ta'ana zan tha meri poshish e dardida per

usi kay dosh pay rakhi howi qabah the meri


main us ko yaad karon bhi to yaad ata nahin

main us ko bhool gaya hon,yehi saza the meri


shikast day gaya apna gharoor hi us ko

wagarna us k muqabil baast kia the mer


kahin dimagh kahin dil kahin badan hi badan

har ik say dosti yaari juda juda the meri


koi bhi ko'ey muhabbat say phir nahin guzra

to shehar e ishq main kia akhri sada the meri


jo ghumand say sir ko uthay phirta hai

isi tarhan ki to makhlooq khaak e pa the meri


har aik shair na tha dr khor e qaseeda dost

aur us say tabai e rawan khob aashna the meri


MAIN US KO DAIKHTA REHTA THA HAIRATON SAY FARAZ

YE ZINDAGE SAY TAR'RUF KI IBTADA THE MERI


Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:45

wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka
kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Kay Shehar Ka

Chalo kOii Dil tO Udaas Tha, ChalO kOii Aankh tO Num Rahii
ChalO kOii Dar tO KhUla Raha Shab e InteZaar Kay Shehar Ka

Ye jO Main Nay Tazza Ghazal Kahi, sO hAi Nazr Ehal e FiraaQ Kii
K Na Mil Saka kOii Nama-Bar mUjhey Meray Yaar Kay Shehar Ka

sO Matta e jAan kO Liye hOye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay K Milla Nahien kOii Aitbaar Kay Shehar Ka

Meray Tarz e NaGhma Saraaii Say kOii BaGhbaan Bhi tO KhUsh Nahi
Yeh Mera Mizaaj hAi Kya KarOn K hOn Main Bahaar Kay Shehar Ka

Kissi Aur dAis kii Oarr kO sUna hAi Faraz Chala Gaya
Sabhi dUkh Samait Kay Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:47


beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:48

gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue
so chup raha sitam-e-narava k hote hue

ye qurbaton main ajab fasle pare k mujhe
hai ashna ki talab ashna k hote hue

vo hilagar hain jo majburiyan shumar karain
chirag ham ne jalayen hava k hote huye

na kar kisi pe bharosa k kashtiyan dubin
khuda k hote huye nakhuda k hote huye

kaise khabar hai k kasa-ba-dast phirte hain
bahut se log saron par huma k hote hue

'Faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aye
k dil girifta raha dilruba k hote hue
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham    Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:50

ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham
charagar royenge aur Gam_Khvar ban jaayenge ham

ham sar-e-chaak-e-vafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana degaa hamen ai yaar ban jaayenge ham

kya Khabar thi ai nigaar-e-sher tere ishq mein
dil_baraan-e-shahar ke dil_daar ban jaayenge ham

saKht jaan hain par hamaari ustavari par na ja
aise Tuutenge teraa iqaraar ban jaayenge ham

aur kuch din betne do ku-e-janan mein hamen
rafta rafta saaaa-e-divaar ban jaay.nge ham

is qadar aasaaN na hogi har kisii se dosti
ashna_i mein tera mayar ban jaayenge ham

mir-o-Galib kya k ban paaye nahin faiz-o-firaq
zam ye thaa ruumi-o-ataar ban jaayenge ham

dekhane mein shaKh-e-gul lagte hain lekin dekhna
dast-e-gul_chin ke liye talvaar ban jaayenge ham

ham chiraghon ko to tariki se ladana hai 'Faraz'
gul hue par subah ke asaar ban jaayenge ham
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: is qadar musalsal theen shiddaten judai ki   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:52

is qadar musalsal theen shiddaten judai ki

aaj pahali baar main ne us bewafai ki


warna ab talak yun tha Khwahishon ki barish men

ya to toot kar roya ya ghazal sarai ki


taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat men

aaj un se majaburan tazaa aashanai ki


ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apane se

tu ne kis ghari zaalim meri hamnawai ki


tanz-o-taana-o-tohamat sab hunar hain naseh ke

aap se koi pooche ham ne kya buraii ki


phir qafas men shor utha qaidiyon ka aur sayyad

dekhana ura dega phir khabar rihai ki



Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: kyuuN tabiiat kahiiN Thahartii nahiiN   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:53

kyuuN tabiiat kahiiN Thahartii nahiiN
dostii to udaas kartii nahiiN

ham hameshaa ke sair-chashm sahii
tujh ko dekheN to aaNkh bhartii nahiiN

shab-e-hijraaN bhii roz-e-bad kii taraH
kaT to jaatii hai par guzartii nahiiN

ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyoN se martii nahiiN

jis taraH tum guzaarte ho Faraaz
zindagii us taraH guzartii nahiiN
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: jab tera dard mere sath wafa karta hai   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:54

jab tera dard mere sath wafa karta hai
aik samandar meri ankhon se baha karta hai

us ki baten mujhe khushbo ki tarha lagti hain
phool jese koi sehra mein khila karta hai

mere dost ki pehchan yehi kafi hai
wo har shakhs ko danasta khafa karta hai

aur to sabab us ki mohabbat ka nahen
baat itni hai wo mujh se jafa karta hai

jab khizan ayee to laut aye ga wo bhi faraz
wo baharon mein zara kam hi mila karta hai
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: na tera qrb hai na bada hai kia kya jaaye   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:56

na tera qrb hai na bada hai kia kya jaaye

phr aaj dukh bhi zyada hai kia kya jaye


hamey bhi arz-e-tamanna ka dhub nahi ata

mizaj-e-yaar bhi saada hai kia kya jaye


kuch apney dost bhi rarkash badosh phirtey hain

kuch apna dil bhi saada hai kia kya jaye


vo meherban hai magar dil ki hiras bhi kum ho

talb,karam se zyada hai kia kya jaye


na us se trk-e-talluk ki baat kar payen

na hamdami ka erada hai kia kya jaye


saluk-e-yaar se dil doobney laga hai Faraz

magar ye mehfi-e-aada hai kai kya jaye



Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz Nice Ghazlain   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:58

ab naye saal kii mohalat nahiin milane vaalii

aa chuke ab to shab-o-roz azaabon vaale


ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaan bolate hain

ab kahaan log muhabbat ke nisaabon vaale


zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hain

faaKhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon vaale


na mere zaKhm khile hain na teraa rang-e-hinaa

mausam aaye hii nahiin ab ke gulaabon vaale


Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: 'Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahi,    Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 07:59

'Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahi,
magar qaraar se din kat rahe ho yun bhi nahi,

Lab-o-dahan bhi mila guftugu ka fan bhi mila,
magar jo dil pe guzarti hai keh sakun bhi nahi,

Meri zubaan ki luknat se bad-gumaan na ho,
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi,

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hawa chaahe hai,
tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahi...
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Suna Hai Loug Usse Ankh bhar ke dekhtey hain   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:21

Suna Hai Loug Usse Ankh bhar ke dekhtey hain
So Us k sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain

Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain

Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain

Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain

Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chale tu uss ko zamaane theher ke dekhtey hain

Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhein
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain

kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar wo khwab hai ,Taabeer kar ke dekhtey hain

Judaiyaan tou muqader hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain

Tou saamne hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain

yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhe Mujh ko jal ke dekhtey hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain

Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo Faraaz ko, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Kabi tarap utha meri Ah se   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:22

Kabi tarap utha meri Ah se

kabi ashk se na pighal saka


Wo utar gaya meri ankh se

Mere dil se kyon na utar saka


Wo chala gaya jahan chor k

Me wahan se phir na plat saka


Wo simbhal gaya tha Faraz magar

Me bikhar k phir na simat saka.


Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Kal shab tha ajab deed ka manzar mere aagay   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:23

Kal shab tha ajab deed ka manzar mere aagay
duniya thi na honay k barber mere aagay

jaisay mutalatim ho samander mere ander
jaisay ho koi maah e munawar mere aagay

us waqt na thi aankh jhapaknay ki bhi fursat
ik shehr e tilismaat tha yaksar mere aagay

us waqt na tha dil ko dhadknay ka bhi yaara
ik aalam e hairat tha sarasar mere aagay

khuddam behergaam liye jaam istaadah
lab basta kanizaan e saman bar mere aagay

laaye koi meena e mae e tund lapak kar
rakh dey koi taazeem se saghar mere aagay

chup chup k koi chust karay tang qaba ko
hans hans k utaray koi zaywar mere aagay

ik mast ada kakul e mushkeen ko bikharay
lay aae daff o ching utha kar merey aagay

jaisay ho mere samnay shaddad ki jannat
jaisay ho sanam khana e aazar mere aagay

jaisay koi gul chehra peri cham se utar aaye
aur raqs karay naaz se aa kar mere aagay

shu'ala sa badan zulf ki makhmal main lapatay
jaisay ho koi khwab sa paikar mere aagay

yun jaisay k jaadu sa jagata chala jaaye
ik aafat e jaan fitna e mehshar mere aagay

yaaqoot se lab saru sa qadd raat se aankhain
wo jaan e qayamat thi mere ghar mere aagay

wo kaifiyaat e dil thi k Behzaad ka fun kya
Hafiz ki ghazal bhi thi farr o tarr mere aagay

aae gardish e douraan zara aahista qadm rakh
ye saa'at e guzraan hai ghadi bhar mere aagay

aae mousam e hijraan abhi kuch dair tawaqqaf
aana ha to aa jana thehr kar mere aagay

aasoodgi e qurb ki aazaa shikaani se
hai neend main ghafil mera dilbar mere aagay

aae subhe judaai abhi ruk jaa k sitamgar
aaisay bhi na jagay thay muqaddar mere aagay

shayad k FARAZ aaj kisi roop nagar se
aai hai qaza bhais badal kar mere aagay!
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Kia Ruksat Yaar Ki Ghari Thi..!!   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:24

Kia Ruksat Yaar Ki Ghari Thi..!!
Hansti Howe Raat Roo Pari Thi..!!


Hum Khud Hi Howey Tabah Warna..!!
Duniya Ko Hamari Kya Pari Thi..!!


Yeah Zakhm Hein Un Dinoo Ki Yadein ..!!
Jab Aaap say Dosti Bari Thi..!!


Jatey Toa Kider Ko Teray Wehshi..!!
Zanjeer-e-Junoon Karri Pari Thi..!!


Dare'ozar-e-Ghir Hayaat Bann Kar..!!
Duniyaa Teri Raah Mein Khari Thi..!!


Ghum Thay Kay Faraz Aan'diyaan Thein..!!
Dil Tha Kay Faraz Pan'kari Thi,,!!
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz Nice Ghazlain   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:27

hava k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya

chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya


pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale

main dubte hua dariya k par utar bhi gaya


ab ehtiyat ki divar kya uthate ho

jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya


main chup raha k is main thi afiyat jan ki

koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya


sulagate sochte viran mausamon ki tarah

kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya


jise bhula na saka us ko yad kya rakhta

jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya


phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe

tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya


magar falak ki adavat usi k ghar se na thi

jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya


Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Kuchh Na Kisi Se Bolenge,   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:28

Kuchh Na Kisi Se Bolenge,
Tanhayi Mein Ro Lenge,

Hum Berehbaron Ka Kya,
Saath Kisi Ke Ho Lenge,

Khud To Hue Ruswa Lekin,
Tera Bhed Na Kholenge,

Jeevan Zeher Bhara Saagar,
Kab Tak Amrit Gholenge,

Neend To Kya Aayegi 'Faraz'
Maut Aayi To So Lenge...
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Tarus Raha Hoon Mager Tu Nazer Na Mujh Ko   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:29

Tarus Raha Hoon Mager Tu Nazer Na Mujh Ko
Kay Khud Judda Hai Tu Mujh Se Na Ker Judda Mujh Ko

Wo Kapkapatay Howay Hont Meray Shanay Par
Wo Khawaab Saanp Ki Manind Dus Gaya Mujh Ko

Chattakh Ottha Hoon Sulaghti Chattan Ki Surat
Pukaar Ab Tu Meray Deer Ashna Mujh Ko

Tujhay Tarash Kay Mai Sakht Munfaiel Hoon Kay Log
Tujhay Sanum, Tu Samjhnay Lagay Khuda Mujh Ko

Yeh Orr Baat Kay Akser Damak Ottha Chehraa
Kabhi Kabhi Yehi Shulaa Bhujaa Gaya Mujh Ko

Yeh Qurbattai'n He Tu Wajha-e-Firaaq Thairi Hain
Bohat Aziz Hain Yaraan-e-Bewaffa Mujh Ko

Situm Tu Yeh Hai Kay Zalim Sukhan Shanaas Nahi
Wo Ek Shaks Kay Shaier Banna Gaya Mujh Ko

Usay Faraz Ager Dukh Na Tha Bichernay Ka
Tu Kiyon Wo Door Tallak Dekhta Raha Mujh Ko
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:29

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye kin nazaro.n se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye

hameshaa ke liye mujh se bichha.D jaa
ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye

Galat hai jo sunaa par aazamaa kar
tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye

ye maharuumii nahii.n paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

yahii to aashnaa banate hai.n aaKhir
ko_ii naa_aashnaa dekhaa na jaaye

'Faraz' apane sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtaab Se Bhi   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:30


Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtaab Se Bhi
Ab Tu HUm Log Gaye Deeda-e-Bekhawaab Se Bhi

Roo Parha Hoon Tu Koi Baat He Aisi Ho Gi
Mai Kay Waqif Tha Teray Hijar Kay Adaab Se Bhi

KUch Tu Us Ankh Ka Shewaa Hai Khaffa Hoo Janna
Orr Kuch Bhool Hoi Hai Dil-e-Betaab Se Bhi

Aai Samander Ki Hawa Tera Karam Bhi Maloom
Piyaas Sahil Ki Tu Bujhti Nahi Sailaab Se Bhi

Kuch Tu Us Husun Ko Jannay Hai Zamana Sara
Orr Kuch Baat Chali Hai Meray Ehbaab Se Bhi

Dil Kabhi Gham Kay Samander Ka Shanawer Tha Faraz
Ab Tu Khoof Atta Hai Ik Mouja-e-Paayaab Se Bhi
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Sang Dil Hai Wo Tu Kiyon Is Ka Gila Mai Ne Kia   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:33

Sang Dil Hai Wo Tu Kiyon Is Ka Gila Mai Ne Kia
Jubkay Khud Pather Ko Bot, Bot Ko Khuda Mai Ne Kia

Kaisay Na-Manoos Lafzoon Ki Kahani Tha Wo Shaks
Us Ko Kitni Mushkiloo'n Se Terjumaa Mai Ne Kia

Wo Meri Pehli Mohabbat Wo Meri Pehli Shikhust
Phir Tu Paimaan-e-Waffa So Martaba Mai Ne Kia

Hon Saza War-e-Saza Kiyon Jub Muqadder Mai Meray
Jo Bhi Us Jan-e-Jahaa'n Ne Likh Dia Mai Ne Kia

Wo Thaiherta Kia Kay Guzera Tak Nahi Jis Kay Leye
Gher Tu Gher Her Raasta Araasta Mai Ne Kia

Mujh Pay Apna Jurm Sabit Ho Na Ho Lakin FARAZ
Log Kehtay Hain Kay Us Ko Be-Waffa Mai Ne Kia
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Na shouq e visl na ranj e firaq rakhtay hain   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:35

Na shouq e visl na ranj e firaq rakhtay hain
mager ye log tera ishtiyaq rakthay hain

ye hum jo tujh pe hain naazaan to is sabab se k hum
zamanay waloon se behter mazaq rakhtay hain

ham ehl e dil se koi kyun milay k ham se faqir
ne etr o ood na saz o yaraaq rakhtay hain

jamal e yaar faqat chashm o lab ki baat nahin
so ham khayal e syaq o sabaq rakhtay hain

misal e shieesha e khali kitab e aql ko bhi
ham ehl e maikadah bala e taaq rakhtay hain

shayookh e shehr se kya bahs k jo girah main faqt
do harf e eqd o seh harf e talaq rakhtay hain

Faraz khosh ho k tujh se khafa hain fatwa faroosh
bhalay se ye bhi kahain ittefaq rakhtay hain.
a
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:36

Abr o baraan hi na thay behr ki yorish main shareek
dukh to ye hai k hai mallah bhi sazish main shareek

ta hamain tark e taaluq ka bohat ranj na ho
aao tum ko bhi karain ham isi koshish main shareek

ik to wo jism tilismaat ka ghar lagta hai
us pe hai neeiyat e khaayat bhi poshish main shareek

sari khalqat chali aati hai ussay daikhne ko
kya karay dil bhi k duniya hai sifarish main shareek

itna sharmindah na kar apnay gunahgaroon ko
aaye khuda tu bhi raha hai meri khwahish main shareek

lafz ko phool banana to karishma hai Faraz!
ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
jan_zhob
Moderators
Moderators
jan_zhob


Posts : 179
Reputation : 0
Join date : 2011-11-18
Age : 29
Location : Pakistan

Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Girufta Dil-e-Andleeb Ghaiel Gulaab Dekhay   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime10/1/2012, 08:37

Girufta Dil-e-Andleeb Ghaiel Gulaab Dekhay
Mohabbatoon Ne Sabhi Rutto'n Mai Azaab Dekhay

Wo Din Bhi Aaye Saleebger Bhi Saleeb Par Hoon
Yeh Shaher Ik Roz Phir Se Youm-e-Hisaab Dekhay

Yeh Subhai-e-Kazib Tu Raat Se Bhi Taweel Ter Hai
Kay Jaisay Saddiyaa'n Guzer Gayee'n Aftaab Dekhay

Wo Chasham-e-Mehroom Kitni Mehroom Hai Kay Jis Ne
Na Khawaab Dekhay Na Rutjagoo'n Kay Azaab Dekhay

Kahaan Ki Ankhain Kay Ab Tu Chehroo'n Pay Aablay Hain
Orr Abbloo'n Se Bhala Koi Kaisay Khawaab Dekhay

Ajab Nahi Hai Kay Khushboo'n Se Hai Shaher Khali
Kay Mai Ne Dehleez-e-Qattlaa'n Par Gulaab Dekhay

Yeh Saait-e-Deed Orr Wehshat Barha Gayee
Kay Jiasay Koi Janoo'n Zadda mahtaab Dekhay

Mujhay Tu Hum Muktabi Kay Din Yaad Aa Gaye Hain
Kay Mai Usay Parh Raha Hoon Orr Wo Kitaab Dekhay
Back to top Go down
https://urdu110.forumur.net
Sponsored content





Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Empty
PostSubject: Re: Ahmed Faraz Nice Ghazlain   Ahmed Faraz Nice  Ghazlain Icon_minitime

Back to top Go down
 
Ahmed Faraz Nice Ghazlain
Back to top 
Page 1 of 3Go to page : 1, 2, 3  Next
 Similar topics
-
» Faraz Sab Ghazlain
» Faraz Sab Ki Ghazlain On Faacbook
» Ahmed Faraz and Pakistani Politics
» Best Of Ahmed Faraz
» Information Of Ahmed Faraz

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
www.urdu110.com :: Poetry :: All Urdu Poets :: Ahmed Faraz-
Jump to: